Channel Avatar

Aftab Quraishi Wisdom @UCtuM_JaI39A6uVSeoxNOErw@youtube.com

14K subscribers - no pronouns :c

Here You'll Find Videos On Philosophy, Psychology, Theology,


Welcoem to posts!!

in the future - u will be able to do some more stuff here,,,!! like pat catgirl- i mean um yeah... for now u can only see others's posts :c

Aftab Quraishi Wisdom
Posted 4 days ago

New Video Aaj Dopahar 2 Baje Upload Hogi,
Umeed Hai Aap Ke Liye fayedemand Hogi

Aur Mai aap sabhi se mafi chahunga is Wajhai se ki meri video upload hone me der hoti hai

Aur aap ko intezar karna padta hai kabhi
15, 20 ya 30 dino tak,
Aur aisa Kai salo se hota aa raha hai,

Aisa ise liye hota hai ki kafi lambe samaye se meri zindagi me kafi,
sangeen masle chal rahe hai jis Wajhai se

Mai YouTube me waqt chah kar bhi,
Nahi de pata,

Agar mera rab meri zindagi ki pareshaniyan
Zara asan kar de,
Mai Regularly videos upload karunga
Inshallah

Love you All❤️

96 - 7

Aftab Quraishi Wisdom
Posted 2 weeks ago

New Video Aaj Sham 4 baje,
Aap Hi Ki Request Par Release Hone Wali Hai,

Ye Video Khash Aap Logo Ke Liye Hai
Aur Sirf 14 Min Ki Hai,

Umeed Hai Aap Ko Pasand Ayegi❤️

110 - 9

Aftab Quraishi Wisdom
Posted 1 month ago

New Video Kal 3 Baje Release Hone Wali Hai...

Ye Video 37+ Min Ki Hogi

Aur Is Video Me Aap Kafi Cheezain Janne Wale ho,

Aur Aise Koi Video Maine Pehle Kabhi
Nahi Banai,

Ise Liye Ye Kafi Khash Hai,

Mai Kafi Excited Hu Is Video Ke liye ❤️

74 - 15

Aftab Quraishi Wisdom
Posted 1 month ago

Konsi Video Aap Pehle dekhna Chahte Ho...

44 - 19

Aftab Quraishi Wisdom
Posted 1 month ago

New Video...Ilm Ul Adad Par,
Kal Sham 4 Baje Upload hone Wali Hai
Inshallah,

Ye Video 30+ Min Long hai,
Aur kafi khash Video hai,

Aur Is Video Me Maine Kuch Aise Cheezain
Batai Hai Jiske bare Me Shyad Aap Ne
Kabhi Nahi Suna Hoga,

Ye 3 Videos Ki Ek Series Hone Wali Hai,

Bilkul Bhi Miss Na Kare, Aur Apne
Notification On Rakkhe ❤

202 - 14

Aftab Quraishi Wisdom
Posted 2 months ago

Kafi Khash Video Hai Aap Ko Zaroor
Pasand Ayegi,

Is Video Me Maine Qur'an Ke,
Secret Letters Ke Bare Me Aise Cheezain
Bayan Ki Hai,

Jise Shayad Aap Ne Kabhi,
Suna Hi Na Hoga.

Ye Video Khash Aap Hi Ki Request Par Hai,
Kal Sham 4 Baje Upload Hone Wali Hai,
Apne Notification On Rakkhe.
❤️

116 - 7

Aftab Quraishi Wisdom
Posted 2 months ago

Khushi Aur Ghum...
Mushkil Aur Asaani,

Dard Aur Aram,
Anxiety Aur Sukun,

Mera Aap Sabhi Se Sawal Hai Ki,

Kya Aap Khushi Ko,
Ghum Ke Bina Tasawwur Kar Sakte Ho?

Ya Dard Ko Aram Ke Bina?

Ise Tarha Kisi Bhi Duniya Ke Property Ki Opposite Ke Bina?

Aap Kar Hi Nahi Sakte !

Duniya Ki Zindagi Ki Fitrat Dual Hai!

Khuda Ke Alawa Sabhi Cheezon Ki Haqiqat Dual Hai,

Duality Me Secrets Hai, Raaz e Zindigi Hai,

Jisne Duality Ko Samjha,

Usne Khuda Ke Takhlik Ke Razon Me Se Ek Bade Raaz Ko Samjha,

Par Iska Fayda Kya?

Jaise Maine Aap Ko Bataya Ki Sab Kuch Dual Hai,

Aur Jab Hum Ye Jaan Lete Hai ki Ye,

Duniya Ke Ek Aise Fitrat Hai Jo Kabhi Badal Hi Nahi Sakti,

Chahe Kuch Bhi Ho Jaye,

Ye Khuda Ki Banawat Hai,

To Isse Hame Pata Chalta Hai Ki,
Agar Duniya Ki Sabhi Cheezon Ki Essence Dual Hai,

To Iski Manifestations,
Yani Isse Paida Hone Wali Har Cheez,

Jiske Bare Me Aap Tasawwur Kar Sakte Ho Ya Nahi Sakte,

Sab Ki Dual Property Hogi,

To Ghum Ke Sath Khushi Ka Hona Lazmi Hai,

Aur Dard Ke Sath Ghum Ka,

Par Sawal Ye Paida Hota Hai Ki Akhirkar Aisa Kyu Hai?

Aur Kya Iski Koi Zaroorat Hai?

Jawab Milta hai Beshak Iski Zaroorat hai!!

Mai Chahta Hu Aap Imagine Kare,
Ek Aise Duniya,
Jaha Sirf Khushi Ho Ghum Na Ho...

To Kya Unhe Khuda Ki Zaroorat Hogi?

Kya Wo Khuda Ko Yaad Karenge?

Jawab Hai Bilkul Bhi Nahi!!

Aur Ek Ahem Baat,
Kya Unhe Khushi Aur Maze Me Hote Hue Bhi,

Khushi Aur Maze Ka Matalab
Bhi Pata Hoga?

Lakin Hai To Wo,
Sabse Behtareen State Me Par,
Phir Bhi Wo,

Kabhi Bata Hi Nahi Payenge Ki Wo Jo Feel Kar Rahe Hai,
Uska Matlab Kya Hai?

Wo Sirf Simply Jiyenge, Ek Meaningless Zindagi!!

Aur Isse Bhi Badi Baat To Ye Hogi Ki Unhe Pata Hi Nahi Chalega Kabhi,

Ki Unki Zindagi,

Meaningless Aur Worthless Hai!!

Aur Hu Bahu Ise Tarha Se,
Aap Aise Duniya Ke Bare Me Bhi Soch Sakte Hai Jaha Sirf,

Ghum Aur Dard Hai, Ye Bhi...

Iske Counterpart Sathi Ke Bina Adhuri Hai,

Aur Meaningless, Worthless Aur Absurd Hai!!

To Ab Hum Sirf Mante Hi Nahi Hai,
Balke Jan gaye Hai Ki,

Duality Ka Wujud Kyu Zaroori Hai,

To Ab Aap Is Nazarye Ke Sath Apni Zindigi Ke Alag Alag Pehluon Par Gaur Kare,

Aur Apne Aaspas bhi,

Chahe Wo Ghum Ke Ho Khushi Ke Ho Ya Dard Ke Ya Kuch Aur,

To Aap Ko Pata Chalega Ki Meri Zindagi Me Kabhi Kuch Aise Hua Hi Nahi,

Ki Aaj Agar Dard Hai To Kal,
Wo Dard,
Aram Me Tabdeel Na Ho Gaye Ho,

Ghum Thi To Khushi Me,
Tabdeel Na Ho Gaye Ho,

Buri Thi To Acchi Na Ho Gaye Ho,

Par Hum Gaur Nahi Karte Aur Sukar Karne Wale Nahi Bante,

Hamare Fitrat Me Be-sabri Hai,

Hum Bahot Jald Jaza o Faza Karne Lagte Hai,

Hum Bahot Jald Apne Taqdeer Ko,

Aur Khuda Ko Koshne Lagte Hai,

Aur Hikmat Hame Inki Samajh Deti Hai,

Kyunki Qur'an Me Allah Rabbul Alameen Farmate Hai,

Beshak Har Mushkil Ke Baad,
Asani Zaroor Ati Hai...Quran:94:5

Kyunki Duniya Ko Allah Ne,
Design Hi Aise Kiya Hai Taki Wo,

Hame Azmaye Ki Hum,
Sukar aur sabar Karte Hai Ya Nahi,

Aur Jis Waqt Mai Abhi,
Ye Post Likh Raha Hu Abhi Hamare Yaha,

Itni Behtareen Hawayen Chal Rahi Hai Jinki
Alfazon Me Koi Bayan Nai,

Aisa Kyu?

Kyunki Kai Dino Se Hamare Yaha Behad Shadeed Garmi Pad Rahi Thi,

Aur Aaj Jab Hawa Chali,

To Khushiyon Ki Ek Lehar Daud Gai,

Sabhi Ke Chehro Me,

Sab Raat Ko Apne Gharo Se Bahar Nikal Aye,

Aur Abhi Barish Chalu Ho Gaye Likhte Likhte,
Aur Raat Ho Gaye,

Mai Chand Ashaar To Likhna Chahta Hu,
Par Aaj Nahi,

Mujhe Khud Par Kabu Na Hoga!!

Kya Ye Sabhi Baate Apko Hairat Me Nahi Dalti,

Kya Shadeed Garmi Ke Bina Un Hawaon Ka Koi Matlab Hota?

Us Barish Ka Koi Matlab Hota?

Kya Chehro Me Khushi Hoti?

Kyunki Ghum Hai Ise Liye Khushi Hai,

Ghum Hai To Umeed Aur khuda Par Yakeen Rakkhe,
Ki Khushi Zaroor Ayegi,

Aur Aise Soch Aur Hikmat Hame Sabar wala Banati Hai,

Aur Hum Un Allah Ke Neimaton Ka,
Shukar Ada Karte Hai,
Jo Abhi Hamare Paas Hai,

Aur Jo Ahsaan Usne Hampar Kiye Hai,

Khuda Ki Takhliq Ki Shaan Hi Aise Hai,

Aur Isme Koi Burai nahi,

Aur Yaad Rahe, Ye Cheezain Sirf Duniya Ki Zindagi Me Hi Lagu Hoti Hai,

Jannat Dual Nahi Hai, Jannat Ki Property Monad Yani Oneness Hai,

Sirf Khush...Aur Sirf Sukun...Aur Sirf Maze.

Koi Taklif Ya Ghum Nahi...

Aur Jahannam Bhi Thik Waise Hi Hai, Monad Ek Property,

Sirf Ghum...Sirf Dard...Sirf Bechaini...

Aur Khuda Ne In Dono Ki Halki Se Taste,

Hame Duniya Me Hi Chakha Di Hai,

Taki Hum Hikmat Se Faisle Lain,

Aur Cheezon Ko Gehrai Se Dekh Kar Zindagi Guzare,

Taki Hame Ane Wali Zindagi Me Pachtana Na Pade,

Aur Yad Rahe Wo hamesha Ki Hai,

Aur Duniya Use Hasil Karne Ki Jaghai Hai...

37 - 10

Aftab Quraishi Wisdom
Posted 2 months ago

Ek Hazar Ek Raato Ki Pehli Raat
(1st Night Of 1001 Nights/Arabian Nights)

Ek Jinn Ne Saudagar Par ilzam Lagaya,
Aur Gusse Me,

apna talwar nikal kar Kaha,
Aaj Mai Tujhe Qatal Kar ke Rahunga!

Saudagar rone Laga Aur Kaha ke Ab mai apna maamla,
khuda ke supurd karta hoon,

Aur Usne Ye ashaar Padhe… (Jo Mere Pasandida Hai)

Duniya mein do hi din hain,
ek aaram ka ek takleef ka!

Zindagi ke do hisse hain,
ek saaf ek Dhundli…

Jo shakhs hum par ye ilzaam lagata hai,
ke hum ko zamana ultata paltata rehta hai!

usse keh do!

ke zamana uski mukhalafat karta hai!
jis se woh khauf khata hai.

Tu ne ye nahi dekha ke jab aandhiyan chalti hain,
to wahi darakht girte hain jo bade aur mazboot hote hain?

Tu ne kabhi samandar ko bhi dekha hai?
ke murda cheez uske ooper tairne lagti hai!!

aur moti doob kar uski sathai mein pahunch jaate hain?

Agar zamana hum ko…
idhar udhar phekta,
aur apni buri fitrat se,
humein nuksan pahunchata rehta hai,

to maaloom hona chahiye ke,
aasmaan mein beginti sitare hain!

magar grahan chand aur suraj hi ko lagta hai.

Zameen par khushk aur tar Darakhto ki,
inteha nahi,

Magar!

patthar usi darakht par phenke jaate hain,
jis mein phal lage hote hain.

Agar zamana tere Sath neki karta hai,
to tu uski taraf nek guman karta hai,

aur jo burai tujhe taqdeer dikhati hai,
usse khauf nahi khata.”

------
Waise To Ye Puri Poetry Life Ki Kai Sari Mysteries Zahir karti Hai Par Ye Line Kuch Jyada Hi Khash hai -

murda cheez samandar ke upar
tairne lagti hai!!
aur moti doob kar uski nichli sathai mein pahunch jaate hain?

Ise Science Ke Nazarye Se Agar Aap Dekhte ho To Aap zindigi ke Asal Raaz Ko Nahi Dekh sakoge,

Ise Aap Apni Andar ki Ankhon Se Dekhe,

To aap Wo Paigam Samajh jaoge,

Jo inke Zarye Se Zindigi Hame,
Sikhana Chah rahi Hai

Aur Ye Rabbul Alameen Ka Hi Nizam hai!

Akhirkar Kyu Zinda Pani me Doob Jata Hai?
Aur Kyu murda tair Kar Dikhta hai?

Aur Keemti Mootiyan,
Upari Sathai Par nahi balki Neechae,
Gehrai Me mehfooz hoti Hai?

Murda kisi kaam ka Nahi,
To Wo Upari Sathai par hai

Moti Keemti Hai Ise liye Wo gehrai Me Hai

Par yaha To Zinda Samandar me Doob Kar Murda Ban Jata hai!!

Zinda to keemti Hai
Murda bekar
Zinda moti hai
Murda 2 Kodi ka Bhi Nahi

Par Raaz Kya hai?

Ek baat Par Aap gaur Kare,
ki Zinda Keemti Hai ye To Wajeh Hai,

Par Kiski Nazar Me?
Samandar ki ya Hamari?
Beshak hamari Nazar me!

Ise Liye uski Zindigi Samandar me use tairne me Madad nahi Karti,

Wo Jitna samandar Se Ladta hai Samandar Use Aur Jyada Dubati jati Hai,

Samandar kya hai, Pani…
Tum kya Ho… Bas Ek Ahsas…
Aur Khalish bedari!!

Aur Murda bekar Hai!!
par Murda Hone Ki Khashiyat ye Hai,
Ki Wo Samandar me
Tairne lagta Hai

Kaise Anokhi baat hai !!

To isse Zindigi Ki ek Sabse badi Raaz Hame Pata Chalti Hai Ki,

Agar Zinda,

Apni Hayat e Zindigi Ke Dauran Murde Ki Khubiyon Ko Apna Le,

To Samandar Use Dubayegi Nahi

Par Agar Wo Samandar Se,
Ladne ke Koshish kare,
jo Wo hargish nahi Kar sakta.

Par Agar phir Bhi Wo kare!!
Wo Samandar Apna Kaam kar jayegi...
Aur Wo jeet jayegi,

Aur Aap ko Bhi Paani Bana Degi
Murda Kya hai Sirf paani

Ise Liye lado nahi pani ho jao aur behte chale jao Aur Tum Jee jaoge…

Aur Ise Aap Apni Zindigi ke har pehlu par Azma kar Dekh Sakte Hai,

Mai ispar Ghanto baate Karte Reh Sakta hu Aur Kai raaz Aap ke Samne khol kar rakh Sakta hu
Kyunki Khuda ke Takhlik Ki Razon Ki Koi inteha nahi hai….

55 - 13

Aftab Quraishi Wisdom
Posted 3 months ago

You Are The Secret Of Creation, See Yourself In The Mirror Of Your Soul...

41 - 6

Aftab Quraishi Wisdom
Posted 3 months ago

"I apologize, due to some personal issues, it will take some time for the video to come out. The video will be uploaded by tonight, otherwise definitely by 4 PM tomorrow, inshallah

19 - 2