Jab tum dusron ki madad karte ho, asal mein apni hi madad kar rahe hote ho.
Ek middle-class ladka, jiska monthly income sirf 15,000 rupees tha. Bus aur chinchi rickshaw mein safar karta, lekin sapne bade the , logon ki zindagi aur soch ka perspective different ker sakay.
Lekin us waqt khud he halat kharab thay..
10 saal pehle ek moka mila โ Germany aane ka, padhai ke liye.
Aaj, main wahi ladka hoon โ naam hai Harris, Germany mein 10+ saal se hoon. Aaj khushi se jee raha hoon โ apni family ke saath, maa-baap ki duaon ke saath. Zindagi har din behtar ho rahi hai.
Lekin sapna sirf khud ka nahi tha. Ab waqt hai apne logo k liye, apni community ke liye kuch karne ka โ un logon ke liye jo mushkil mein hain, lekin unke andar bhi koi spark chhupa hua hai.
Aao mil ke grow karte hain. Connect ho jao jaani โ ek naye nazariye ke saath.
I also share parts of my personal journey and lifestyle in Germany to inspire and motivate you to chase your goals.