Al-Rabbaniyah | Book by Maulana Wahiduddin Khan

42 videos • 1,474 views • by Centre for Peace and Spirituality International Haqiqi insaan woh hai jo apne Rab mein jeenay wala insaan ban jaaye. Jis ke subah o shaam Allah ki yaadon mein basar hone lagain. Aise hi insaan ko Rabani insaan kaha jaata hai. Rabbaani insaan ek pauday ki manind dunia mein zahir hota hai. Woh poori kayenat se maarifat ka rizq lekar badhta rehta hai. Yahan tak ke woh mukammal darakht ban jaata hai, taake woh dunia mein logon ko phal aur saya de aur phir usko aakhirat ke bagh mein nasab kar diya jaaye jahan woh abadi tor par Jannat ki fizaa mein lah-lahaata rahe. Zer-e nazar kitaab mukhtalif pahluon se ishi maarifat-e Rabani ki yaad dihani hai.