Namashkar shathiyon Mai Saurabh agyani aur ye mera youtube channel hai.yaha ham khoob sari baten karenge apne desh ke gauravshali itihas ki,apne desh ke samridh shahitya ki ham charcha karenge un tamam samajik muddon par jo hamare jeevan par sidha prabhav rakhate hai. yaha mai ek bat spast kar dena jaruri samajhta hu ki mai koi puratatvavetta ya kathavachak nhi hu.aap mujhe bina college ka shodharthi kah sakte hai.prachin shahitya me ruchi hone ke karan mai unka adhyayan kiya karta hu.tamam aisi ghatnao se parichit hota hu jinhe ham kabhi sune hi nhi hote hai.mujhe aisa laga ki yah baten hame pata honi chahiye.isliye maine apni jankariyan aap tak sajha karne ke liye ye madyam chuna hai.mujhse kahi truti hoti hai to aap logo ke pass pura adhikar hai meri truti sudharne ka ..aap log support jarur kare taki aane wali pidhi ko ye jankariyan ek dam sahi roop me pata ho ...dhanyawad