Talash-e-yaar men guzri hai zindagi tanha
bhatak raha huun andheron men aaj bhi tanha
Vahan to saans bhi lena azaab lagta hai
sisak rahi ho jahan koi zindagi tanha
Akela main hi nahin huun Asur-e-Zulmat-e-Gham
bujha bujha hai andheron men chand bhi tanha
Tamam chand sitaron kaa noor ek taraf
aur ek samt hai suraj ki raushni tanha
Mire khulus meñ shāyad kamī hai kuchh varna
mujhi se karte hain kyun log dushmani tanha
Kisi ki zulf ka saaya talash kar varna
'Asar' guzar na sakegi ye zindagi tanha