Iss hi naam ke novel par mabni yeh kahani, markazi kirdar Parizaad ke gird ghoomti hai, jis kirdar ko behtareen tareeqe se Ahmed Ali Akbar ne ada kiya hai. Parizaad aik masoom dil aur badi salahiyat wala naujawan hai, magar gareeb honay ki wajah se lekin log usay hamesha nazar andaz karte hain aur uss ke saath bura bartao karte hain. Drama aik dilchasp aur bohat he mukhtalif kahani pesh karta hai jo Parizaad ke mushkilat bhare safar ko dikhata hai jese kese woh zindagi ke bohat se ahem aur mukhtalif moron se guzarta hai.
Hum Tv Official Drama Parizaad.